Friday, December 23, 2011

A Dream Conversation

Tonight
My 3rd dream
Will meet your 4th (you sleep earlier than me)
Over cups of cloud
They will chat about
Their hopes and dreams
Then they will move on
To the reality of our lives
As the night fades into a new dawn

A rough translation in Urdu follows...

Aaj Raat
Mera Teesra Khaab
Milega Tumhaare Chauthe Se
Baadalon Ki Pyaliyon Ke Saath
Baatein Hongein Hamaari
Ummeedon Ki Aur Khaabon Ki
Phir Haqueeqat Ka Saamna Hoga
Jab Raat Subah Ki Taraf Jaane Lagegi


Friday, December 02, 2011

Nanhi Si Jaan

Sometimes, you wake up in the night with something in your head.

Nanhi Si Jaan

Ek Baar Jab Neend Na Aayi
Jaa Pahucha Taaron Se Milne
Balcony Mein Hava Sard Thi
Traffic Ki Awaaz Bhi Nahin Thi

Saamne Lamppost Ke Neeche
Khadi Thi Ek Nanhi Si Jaan,
Thand Me Thartharati
Zindagi Se Haar Maanti

Maine Awaaz Dekar Kaha
‘Aao Oopar Ghar Mein
Baahar Ki Thand Mein
Bimaar Padne Ka Dar Hai’

Halke Paanv Oopar Aayi Woh
Thand Se Safed Hua Chehra Liye
Sehemte hue Baithi Arm-chair Pe
Maine Chai Aur Chaadar Badhaai

Chehre Ki Laali Thodi Waapas Aayi
Toh Maine Poocha, ‘Kaun Ho Tum, Kahanse Aayi?’
Ussne Kaha, ‘Main Is Raat Ki Beti Hoon,
Zara Raasta Bhool Gayein Hoon’

Waqt Guzra Aur Chidyon Ne Kaha
Ke Seher Hone Hi Waali Hai
Woh Uthke Badhi Darwaaze Ki Or
Maine Poocha, ‘Phir Kab Milogi?’

Boli, 'Shaayad...Jab Tumhein Neend Na Aaye Agli Baar’

Saturday, September 10, 2011

Chalo Gaane Paida Karte Hain - Come, Let's Parent Songs

This one happened while on my way to a client meeting. It was a long journey spanning 3 states, so I had enough time to craft it. But then, I erred...and a friend & a colleague helped me rectify the errors.

To savor this, you've got to imagine a musical rainy night with scotch and a good friend to give you company. If he/she is a musician, even better!

Chalo Gaane Paida Karte Hain

Aao Hum Gaane Paida karte Hain
Ek Chotti Si Musical Family Banaate Hain
Tum Dhun Nikaalna, Main Bol Dalunga
Mukhda Tum Jaisa Hoga, Antara Mujhsa

Jab Thode Bade Honge Hamaare Gaane
Ek Acche Se Studio Mein Daakhila Delaayenge
Taaki Ek Acchi Si Tarbiyat Paakar
Zara Nikhar Jaayenge Sur Taal Mein

 Aur Phir Duniya Mein Agar
Sab Ke Azeez Ho Gaye Yeh Gaane
Hum Fakhr Se Ek Doosre Ke Saath
Gungaanaate Phirenge Inhein

Come, Let's Parent Some Songs (A Rough Translation)

Come let’s give birth to songs
And build a small musical family
You set the tunes, me adds the words
Chorus will look like you, verses like me

When our songs grow up a bit
We shall put them in a good studio
With some good upbringing
They will get fine tuned

And when presented to the world
If the songs get sung by others
With our hearts full of pride
We shall be humming them too

Monday, July 25, 2011

Ashu Miyan Hamaare


My nephew, Ashar (lovingly called 'Ashu') turned two last Saturday. I wrote some lines for the occasion and they go like this.

Ashu Miyaan Hamaare

Ashu Miyaan Hamaare
Ab Do Saal Ke Ho Chale
Abhi Kal Hi Ki Toh Baat Hai
Ke Duniya Mein Aaye The

Toothi Phooti Meethi Meethi
Dheeme Baatein Karte Hain
Mummy Papa, Dada Dadi
Naana Naani, Sab Ke Mithaayi Hain

Paani Se Badi Mohabbat Hai
Chap Chap Karte Rehte Hain
Shushu Karne Ke Bahaane
Roz Chaar Dafa Nahaate Hain

Chicken, Ice Cream, Chocolate
Unke Pasand Ki Cheezein Hain
Kucch Aur Khaane Ko Do Toh
Mummy Ko Daudaate Hain

Jab Aashu Miyan, Pehli Baar
Mile Mumbai Ke Monsoon Se
Baadalon Ki Garaj Se Bina Dare
Naachte Gaate Phire Khushi Se

Jo Ghar Mein Nahin Hai
Woh Ophish Gaya Hai
Aur Kucch Raaton Ko Toh
Chand Bhi Ophish Jaata Hai

Miyan, Filmi Bhi Ho Gaye Hain
Item Songs Ko Pettu Gaana Aur
Kucch gaanon Ko Patta nahin Kyon
Maamu Gaana Kehkar Bulaate Hain

Na Jaane Aur Kya Kya Karenge Aage
Lekin Aaj Toh Is Red Bus Ko Kaat Kar
Apni Doosri Saalgirah Manaayenge
Hum Sab Ke Pyaar Ke Beech


That's Ashu Miyan with his charming smile.

Saturday, May 28, 2011

Bandipur Ke Bandi

About a month ago, along with some of my friends, I spent a few days at a National Forest called Bandipur, which is located in the state of Karnataka. This one came to me over there.

Bandipur Ke Bandi

Halki Baarish Mein Bheegti
Jungle Ki Ek Neeli Si Jheel
Haule Haule Jhoom Rahi Aise
Hawa Ke Saath Waltz Kar Rahi Jaise

Hirnon Ki Fauj Jama Hai Paas Mein
Jaise Khubsoorti Ki Hifaazat Karne
Aur Shaayad Is Haseen Waltz Ki
Dheemi Nazaakat Ka Lutf Uthaane

Jungle Ki Khaamoshi Se Hokar
Eucalyptus Khushboo Mein Nahaayi
Ek Meethi Dhun, Four By Four Mein
Aa Rahi Hai Is Raqs Ki Madad Ko

In Sab Ko Kahin Band Karne Ki Chaah Mein
Meri Yeh Thodi Si Koshish Hai
Shaayad Aa Jaayein Nazar Aapko Bhi
Woh Waltz Aur Woh Fauj Hirnon Ki

Thursday, April 21, 2011

Worli Sea Face Ki Ek Shaam

Of late, I've started utilizing the proximty of my home to the sea-face promenade of Worli by going for regular evening walks of brisk types. This one comes from one of those walks.

Worli Sea Face Ki Ek Shaam

Kabhi Is Tez Zindagi Se
Thodi Si Mohlat Lekar
Baitho Logon Ko Dekhte
Sea-face Ki Ek Bench Par

Umr Ki Shaam Mein
Laathi Liye Hava Khaate Log

Ear-phone Kaan Mein Daale
Sehat Ke Liye Bhaagte Log

Saari Aur Sneakers Pehne
Aadhi Moti Aunty Log

Breed Kutte Ghumaate
Uktaaye Hue Naukar Log

Garm Chana Bhoonte
Rozi Roti Kamaate Log

Sharm-bhari Aankho Se
Chips Bechti Ek Baaligh Si Ladki
Majboori Hai Bechaari Ki
Warna Aisa Kyon Karti?

Tuesday, March 08, 2011

International Women's Day

This is the third time Majaaz figures in a post on this space. This time it’s to mark this International Women’s Day through his beautifully powerful Nazm, urging the women of India in the pre-independence days to get involved in the freedom movement. Apart from being the great Romantic poet that he was, the man had a strong revolutionary / progressive side too.

I’ve also tried translating the Ghazal for my non-Urdu (English friendly) friends.

Hijaab-e-fitna parwar ab utha leti to achha thaa,
Khud apne husn ko parda bana leti to achha thaa.

Teri neechi nazar khud teri ismat ki muhafiz hai,
Tu is nashtar ki tezi aazma leti to achha thaa.

Teri maathe pe ye aanchal bahut hi khoob hai lekin,
Tu is aaNchal se ik parcham bana leti to achha thaa.


Translation is as follows:

If you now raise the veil of revolt, it would be good,
And instead make your beauty a veil, it would be good.

Your lowered gaze is itself a protector of your purity,
If you now raise your eyes and test the sharpness of it, it would be good.

The cloth covering your head is no doubt a good thing,
But if you make a flag out of it, it would be good.


For my other two posts on the great poet, you can go here and here.

Sunday, January 30, 2011

'Chaubees Ghante' or 'Love Story of a Hooker'

Chaubees Ghante

Jhoothi Raat
Khaali Baatein
Ghair Ki Baahein
Nakli Aahein

Sacchi Subah
Alsaayi Aankhein
Bikhri Zulfein
Kal Ki Khabrein

Garam Dopeher
Thandi Beer-Cans
Puraane Naghme
Nayi Baatein

Simat-ti Shaam
Sehmi Baahein
Pyaar Bhari Nazrein
Khaamosh Baatein

Sulagti Raat
Pighalti Baahein
Dheemi Aaahein
Garm Saasein

Love Story of a Hooker (a rough translation in English)

Untrue Night
Empty Talks
Unknown Arms
Fake Sighs

True Morning
Lazy eyes
Tousled Tresses
Newspaper Headlines

Warm Afternoon
Cold Beer Cans
Old Songs
New Talks

Together evening
Shy Embraces
Love-filled Eyes
Quiet Conversations

Fiery Night
Melting Arms
Quiet Sighs
Warm breaths

Friday, January 07, 2011

Kuchh Acche Palon Ki Ungli Thaame - Happy 2011!

A fresh year is yet another occasion to contemplate and look forward. While doing so. I came up with this. Have a great year ahead!

Kuchh Acche Palon Ki Ungli Thaame

Kucch Acche Palon Ki Ungli Thaame
Hum Mushkil Galiyon Se Nikal Jaate Hain
Zindaki Ke Kai Ghumaavdaar Raaste
Hum Yunhi Tay Kiye Jaate Hain

Kitne Dost Aaye Aur Gaye
Kucch Paas Bhi Reh Gaye
Unke Saath Thoda Hans Bol Kar
Hum Apni Shaamein Saja Lete Hain

Kuch Ghaltiyan Bhi Ki Hain Humne
Aage Bhi Hoti Rahengee, Shaayad
Par Kucch Acche Karmon Ke Sahaare
Unhein Sudhaar Bhi Lenge, Shaayad

Kucch Acche Palon Ki Ungli Thaame
Hum Mushkil Galiyon Se Nikal Jaate Hain
Zindaki Ke Kai Ghumaavdaar Raaste
Hum Yunhi Tay Kiye Jaate Hain

Holding The Finger Of Some Good Moments (a rough translation in English)

Holding the finger of some good moments
I pass through the difficult lanes
That’s how I keep traversing
The long & winding journey of Life

Many friends came and went
Some stayed with me as well
We often talk & laugh together
And our evenings are decorated

I’ve made some mistakes too
Perhaps will make some more
But thanks to some good deeds
I might just rectify ‘em errors

Holding the fingers of good moments
I pass through the difficult lanes
That’s how I keep traversing
The long & winding journey of Life