Wednesday, April 11, 2012

Long Weekend


Darwaazon Pe Pada
Akhbaaron Ka Dher
Long Weekend Ki
Gawaahi Deta Hai

Khabron Ki Laash Liye
Iss Intezaar Mein Ke
Kab Darwaaza Khule
Aur Raddi Mein Dafnaya Jaaye


Kai Baar Koshish Ki
Ke Qabron Ko Khod Kar
Khabron Ko Zinda Karoon
Lekin Yeh Kabhi Na Hua

A rough translation in English...

Newspapers lying on the doorstep
Speak  of the long weekend
Carrying dead News, they wait
To be buried in the heap of trash


Many a times, I tried

Digging the graves
To resurrect those News
But, I've invariably failed

4 comments:

sandeep gaur said...

sahi baat hai....purane akhbaaron mein kitna hi achcha kuch ho...unhe padha nahin jaata..

alien said...

Baabaa,

the Lunatics are in my hall,
and everyday the paperboy brings more

kumar said...

Bade din tak umid thee ki shayad jee uthe
Fhir se jaan aa jai
Bahoot intezzar kiye
Shayad koi nastaliq ho
Kai bar to kabron ko khoda raat me cupke se
Par nakamyab
Jo guzre to fhir nahi mile

meraj said...

@ sandeep gaur, bechaari khabrein

@ alien, indeed

@ Kumar, thanks to your lovely thoughts, i added a new verse to it.