Monday, March 12, 2012

Aajkal

Aajkal Ghar Mein Lambe Baal Nahin Dikhte
Sirf Ek Lambi Si Tanhaayi Dikhti Hai, Akeli Baithi

Ab Ghar Mein Chotti Taqraarein Bhi Nahin Hotein
Bas Ek Badi Si Khamoshi Tangi Rehti Hai Har Taraf

Aajkal Koi Nahin Poochta Ki, ‘Kya Pehnoon?’
Bas Kuch Khamosh Kapde Rakhe Hain Almaari Mein

Aajkal Bistar Kuch Zyaada Bada Lagta Hai
Aur Neendein Choti Hoti Jaa Rahein Hain

Aur Ek Aadha Paint Kiya Hua Canvas Pada Hai
Patta Nahin Kabhi Poora Hoga Bhi Ya Nahin?


4 comments:

Brown Weed said...

once in a while you read something that makes everything around you go silent.

Anonymous said...

bahut badhia meraj saheb...alag andaaz hai is rachna ka....nice one...

meraj said...

@ Anonymous, shukriya...aur khushi hai ki aapjo pasand aaya.

meraj said...

@ mr bojangles, shukriya!