Friday, March 16, 2012

A Wordsmith to a Tunesmith

Tunesmith, my tunesmith
Craft me a sweet tune
My words need them
Please give them one

It’d be the best for my words
Even if it’s your worst
They'll dance in its glory
So will your tune, in them

When the song is complete
We shall celebrate in style
Scotch and Gold Flake Lights
To light up the night


Thursday, March 15, 2012

Woh Ghadi Hamaari Hai

Shaam Jab Jaane Ka Naam Na Le
Aur Raat Aane Mein Sharma Rahi Ho
Samunder Mein Silaeti Chamak Ho
Aur Tumhaari Aankhon Mein Bhi

Woh Ghadi Hamaari Hai
Woh Ghadi Hamaari Apni Hai
Woh Ghadi Hamaari Hai
Woh Ghadi Hamaari Apni Hai

Bheege Ret Par Roz Aati Hai, Woh Ghadi
Hamaara Intezaar Karti Hai Der Tak
Phir Maayoosi Se Laut Jaati Hai
Kal Phir Se Aane Ke Liye

Lekin Ek Dafa Aisa Hoga Kabhi
Mayoos Na Hogi Hamaari Ghadi
Hum Saath Baithe Honge Ret Par
Haanth Mein Haanth Liye...Hamaari Apni Ghadi Mein

Monday, March 12, 2012

Aajkal

Aajkal Ghar Mein Lambe Baal Nahin Dikhte
Sirf Ek Lambi Si Tanhaayi Dikhti Hai, Akeli Baithi

Ab Ghar Mein Chotti Taqraarein Bhi Nahin Hotein
Bas Ek Badi Si Khamoshi Tangi Rehti Hai Har Taraf

Aajkal Koi Nahin Poochta Ki, ‘Kya Pehnoon?’
Bas Kuch Khamosh Kapde Rakhe Hain Almaari Mein

Aajkal Bistar Kuch Zyaada Bada Lagta Hai
Aur Neendein Choti Hoti Jaa Rahein Hain

Aur Ek Aadha Paint Kiya Hua Canvas Pada Hai
Patta Nahin Kabhi Poora Hoga Bhi Ya Nahin?


Wednesday, March 07, 2012

Consider Me Dead

Consider me dead
Unless you want us to live
Like that little seed
Sown in our hearts

Soon this seed will
Turn into a plant
With water of love
Become an ageless tree

And as we grow old
We'll seek its shade
To rest our bodies
On sunny afternoons

And when we are gone
(With luck on our side)
We'd be buried together
Under our very own ageless tree

Consider me dead
Unless you want us to live
Like that little seed
Sown in our hearts