Sunday, February 26, 2012

Neend Ke Dhaage

Neend Ke Dhaage Mein
Khwaab Pirote Ho Tum
Gale Mein Yeh Haar Daale
Raat Haseen Ho Jaati Hai

Badi Itraati Phirti Hai
Khaamosh Galiyon Mein
Sitaaron Ka Dil Todti
Andheron Ko Roshan Karti

Aur Jab Kabhi Ek Aadh Baar
Chandni Ka Saamna Hota Hai
Dhak Leti Hai Khudko Sharmaaker
Ek Bade Sufaid Chaadar Mein

Wednesday, February 22, 2012

Nayi Dosti

The seeds of this one was once again sowed by the same poetry-loving friend.

Beech Raat Ek Khwaab
Sirhane Gir Gaya
Masoom Aur Tanha
Apno Se Juda Ho Gaya

Neend Ki Galiyon Mein
Bechara Akele Yunhi
Bhatakta Raha Badi Der
Doston Ki Talaash Mein

Yunhi Bhataktey Bhataktey
Usse Ek Aur Khwaab Mila
Lamppost Ke Neeche Baitha
Sar Jhukaaye, Masoom Aur Tanha

Ek Ne Doosre Se Poocha,
‘Kya Tum Bhi Meri Tarah Ho
Raasta Bhatak Gaye Ho,

Apnon Se Bichad Gaye Ho?’

Phir Kya, Dosti Hui Unki
Haanth Milaaye Gaye
Aur Donon Saath Chal Diye
Subah Tak Ka Safar Tay Karne

Monday, February 20, 2012

Jugalbandi

This one is a collaborative effort with a poetry loving friend of mine over a modern day technology (mobile sms). We liked the result, so here it is for you to comment.

Kabhi Kabhi Na Jaane Kyun,
Bevajeh Anjaane Mein Yunhi
Tum Aa Jaate Ho Khayaalon Mein
Ek Pyaari Si Yaad Bankar

Phir Uss Yaad Ke Chaand Ko
Dubote Ho Iss Dil Ke Saagar Mein
Aur Hoke Ek Kashti Mein Sawaar
Jaate Hain Hum Sapon Ki Basti Mein

Basti Mein Kuch Diye Jal Rahe The,
Aur Raat Kaafi Gehri Thi
Kuch Der Pehle Khaaye Hue
Khaane Ki Khusbhu Bhi Phaili Thi

Door Kuch Khamoshiyan Baithein Thi
Aapas Mein Kucch Baatein Kar Rahi Thein
Maine Tumse Haule Se Kaha
‘Ho Sake Toh Inhein Suno Zara’