Of late, I've started utilizing the proximty of my home to the sea-face promenade of Worli by going for regular evening walks of brisk types. This one comes from one of those walks.
Worli Sea Face Ki Ek Shaam
Kabhi Is Tez Zindagi Se
Thodi Si Mohlat Lekar
Baitho Logon Ko Dekhte
Sea-face Ki Ek Bench Par
Umr Ki Shaam Mein
Laathi Liye Hava Khaate Log
Ear-phone Kaan Mein Daale
Sehat Ke Liye Bhaagte Log
Saari Aur Sneakers Pehne
Aadhi Moti Aunty Log
Breed Kutte Ghumaate
Uktaaye Hue Naukar Log
Garm Chana Bhoonte
Rozi Roti Kamaate Log
Sharm-bhari Aankho Se
Chips Bechti Ek Baaligh Si Ladki
Majboori Hai Bechaari Ki
Warna Aisa Kyon Karti?
Thursday, April 21, 2011
Subscribe to:
Posts (Atom)