Monday, July 25, 2011

Ashu Miyan Hamaare


My nephew, Ashar (lovingly called 'Ashu') turned two last Saturday. I wrote some lines for the occasion and they go like this.

Ashu Miyaan Hamaare

Ashu Miyaan Hamaare
Ab Do Saal Ke Ho Chale
Abhi Kal Hi Ki Toh Baat Hai
Ke Duniya Mein Aaye The

Toothi Phooti Meethi Meethi
Dheeme Baatein Karte Hain
Mummy Papa, Dada Dadi
Naana Naani, Sab Ke Mithaayi Hain

Paani Se Badi Mohabbat Hai
Chap Chap Karte Rehte Hain
Shushu Karne Ke Bahaane
Roz Chaar Dafa Nahaate Hain

Chicken, Ice Cream, Chocolate
Unke Pasand Ki Cheezein Hain
Kucch Aur Khaane Ko Do Toh
Mummy Ko Daudaate Hain

Jab Aashu Miyan, Pehli Baar
Mile Mumbai Ke Monsoon Se
Baadalon Ki Garaj Se Bina Dare
Naachte Gaate Phire Khushi Se

Jo Ghar Mein Nahin Hai
Woh Ophish Gaya Hai
Aur Kucch Raaton Ko Toh
Chand Bhi Ophish Jaata Hai

Miyan, Filmi Bhi Ho Gaye Hain
Item Songs Ko Pettu Gaana Aur
Kucch gaanon Ko Patta nahin Kyon
Maamu Gaana Kehkar Bulaate Hain

Na Jaane Aur Kya Kya Karenge Aage
Lekin Aaj Toh Is Red Bus Ko Kaat Kar
Apni Doosri Saalgirah Manaayenge
Hum Sab Ke Pyaar Ke Beech


That's Ashu Miyan with his charming smile.