Saturday, July 27, 2013

Ashu Miyaan Hamaare

My nephew Ashar turned four on 23rd of this month. Continuing with the tradition, I wrote this for the occasion.

Ashu Miyan Hamaare

Ab Chaar Saal Ke Ho Chale
Abhi Kal Hi Ki To Baat Hai
Ki Teen Ke Hue The

Aql Ke Pakke Ho Rahein Hain
Bade Bade Sawaal Karte Hain

‘Kaun Jyaada Powerful Hai
Hawa, Aag, Paani
Ya Phir Deewaar?’

‘Humein Chalne Ke Liye
Pair Kyon Uthaana Padta Hai
Turuck Toh Yunhi Chalti Hai?’

Maar Pitaayi Ke Khel Meiin
Bada Mazaa Aata Hai Miyaan Ko
Chot Bhi Lagti Rehti Hai
Phir Bhi Peeche Nahin Hat-te

Kabhi Jab Dimaar Ho Jaate Hain
Hum Sab Ki Jaan Le Lete Hain
Aur Jab Theek Ho Jaate Hain
Waapish Maar-Pitaayi Shuru Kar Dete Hai

Badi jaldi Naraaz Bhi Ho Jaate Hain
Aur Gar Manaane Lago Toh
Dheere Dheere Dheere Dheere
Muskuraa Bhi Dete Hain

Ghar Mein Saalgirah Jiski Bhi Ho
Cake Wohi Kaat-te Hain
Aur Aaj Toh Unki Hi Saalgirah Hai
Aaj Toh Badawaala Cake Kaatenge

Ashu Miyan Hamaare
Ab Chaar Saal Ke Ho Chale
Abhi Kal Hi Ki To Baat Hai
Ki Teen Ke Hue The

No comments: